logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - irfan haider - 2008

Alvidaa shehzada-e-Qasim

Alvidaa shehzada-e-Qasim

Alwidaa Shehzada-e-Qasim Alwidaa

Saji Huwi Hai Karbala, Jaao Tumhe Allah Ko Sompa, Magar,

Ab Kisse Kehke Bulaunga Mai Tasweer-e-Hassan

Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan

(Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan) x2

Zainab-e-Khasta Jigar, Aur Kulsum-e-Hazeen
Hoke Masruf-e-Bukaa, Ghash Pe Ghash Khaane Lagi

Roke Kehti Hai Phuphi, Ay Mere Sher-e-Jawaan

Izne Dekho Na Akhi, Ay Mere Sher-e-Jawaan

Tu Sifarish Ke Liye Laaya Jo Tawiz-e-Hassan

(Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan) x2

Bhai Shabbar Ki Mere, Ik Nishaani Tum Ho
Kaise Marne Ke Liye, Bhejdun Mai Tumko

Tumhi Akber Ho Mere, Ay Mere Sher-e-Jawaan

Tumhi Lashkar Ho Mere, Ay Mere Sher-e-Jawaan

Sang Iss Dil Pe Rakhaa Phir Yeh Kiye Maine Sukhan

(Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan) x2

Dediya Izne-Wighaa, Thaam Ke Qalbo-Jigar
Tum Bhi Hojaao Judaa, Ay Mere Nure-Nazar

Jaao Hafiz Hai Khuda, Ay Mere Sher-e-Jawaan

Roke Sarwar Ne Kahaa, Ay Mere Sher-e-Jawaan

Alwidaa Tujhko Kahaa, Hone Lagi Dil Mei Chubhan

(Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan) x2

Maa Ke Armaan Hai Kya, Yeh Nahin Socha Kabhi
Kya Hai Behnon Ki Dua, Yeh Nahin Socha Kabhi

Tum Jo Marne Ko Chale, Ay Mere Sher-e-Jawaan

Zakhm-e-Dil Gehre Huwe, Ay Mere Sher-e-Jawaan

Bewaa Lagne Lagi Yeh Kehte Hii Ik Shab Ki Dulhan

(Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan) x2

Maardalega Mujhe, Teri Furqat Ka Yeh Gham
Tu Suwe Dasht Na Jaa, Tujhko Sughra Ki Qasam

Waqt Yeh Kaisa Padaa, Ay Mere Sher-e-Jawaan

Jo Ho Manzur-e-Khudaa, Ay Mere Sher-e-Jawaan

Dasht Se Laaunga Gathri Mei Tera Tukde Badan

(Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan) x2

Ban Mei Jab Jaaoge Tum, Yeh Toh Mujhko Hai Khabar
Tan Se Kardoge Judaa, Arzaqe Shaami Ka Sar

Hai Magar Yeh Bhi Yaqee(n), Ay Mere Sher-e-Jawaan

Tujhko Gheirenge Laee(n), Ay Mere Shere-e-Jawaan

Haaye Hojaaega Paamaal Yeh Naazuk Sa Badan

(Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan) x2

Dashte Ghurpat Pe Mujhe, Sab Ke Sab Chhodgaye
Aur Shahadat Ke Liye, Tum Qamar Bastaa Huwe

Meri Mayyat Ke Liye, Ay Mere Sher-e-Jawaan

Chaar Kaandhe Na Rahe, Ay Mere Sher-e-Jawaan

Ab Yaqee(n) Hogaya Rehjaaunga Begoro Kafan

(Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan) x2

Dekh Maadar Ki Taraf, Kaisi Karti Hai Bukaa
Aankh Mei Dajlaae Gham, Aur Honton Pe Sadaa

Dekh Marjaaye Na Maa(n), Ay Mere Sher-e-Jawaan

Kaise Bhejun Me Wahaa(n), Ay Mere Sher-e-Jawaan

Tu Jahaan Jaane Ko Kehta Hai Woh Hai Mawt Ka Ban

(Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan) x2

Roke "Mazhar" Ne Kahaa, Yeh Hai "Irfan"-e-Aza
Jab Tasawwur Mei Gaya, Mera Dil Qaamp Uthha

Kaise Maula Ne Kahaa, Ay Mere Sher-e-Jawaan

Jaa Sue Dashte-Qazaa, Ay Mere Sher-e-Jawaan

Aaj Bhi Rota Hu(n) Jab Honton Pe Aata Hai Sukhan

(Alwidaa Gulpairahan, Qasim-e-Tashna Dahan) x3

HomebookmarkmybayaazSetting